Children Childhood and our future-3

in #undefined6 years ago

Vikas ki margtarshna me humne sab kuch atyadhik gatisheel karne ki koshish suru ki hai. Bacha jaldi se bada ho jaaye. Jaldi se bolne lage, padhne lage, gaane lage, naachne lage, gaadi chalane lage or jarurat pade to pistol chalane me bhi anadi saabit nahi ho. Jis bache ne pita ki pistol se apni principal ko maut k ghaat utara ya jisne pita ki pistol se aatam hatya k koshish ki. Wo abhimanyu ki tarah maa ke pet se to pistol chalana seekhkar aaya nahi hoga. Kisne seekhya hoga use pistol handle karna. 12-14 saal ke jo bache car chalakar logo ko rond de rahe hai. Unhe car chalana ghar ke hi kisi bande ne sikhaya hoga. Jab mobile itna sarav vyaapi nahi hua tha tabse hum bacho ko video game khelte dekh rahe hai. Usme tej raftar car chalane, dhada dhad goliya maar kar hawai jahaz girane se lekar aadmiyo tak ko bhoon dene kr khel hai.

Source-http://neatoday.org/2016/09/16/reducing-student-stress/

Coin Marketplace

STEEM 0.25
TRX 0.19
JST 0.036
BTC 91660.56
ETH 3295.97
USDT 1.00
SBD 3.83