aur jab mulk aazaad hua tha.... by SRV

in #socialism7 years ago (edited)

ye Hindustan hai sahab, ye na toh kisi Pauranic kahaaniyo par chalega, aur na kisi Abrahamic kisso par!
ye sach hai ke sabko apne dharm(mazhab) ki aazaadi hai par saath hi saath yeh bhi sach hai ke kisi ko kisi ke upar apni baatein thopne ka bhi haq nahi hai. Jab ye mulk, ji haan ye mulk jo partition se pehle muqammal Hindustan tha, jab British Empire se iske aazaad hone ki kawaayadein shuru hui toh yahaan teen vichardharaayein thi.

  1. Congress group: jo chahte the ki Hindustan ek #Secular_Democratic_Republic banega,

  2. LEFT: Jo BHAGAT SINGH ne kahaa inhone kahaa ki sirf iss par nahi ruk sakte, Rajnetik azaadi ke saath Aarthik(economical) azaadi bhi chahiye jo ki kewal Samaazwaad se aa sakti hai warna yeh Social Democratic Republic bhi dagmagaa sakti hai.

  3. Extremism: Muslim league ; jo chahte the ki ek alag #Islamic State baney, aur RSS; jo chahte the ki #Hindu Rashtra baney.
    inme se ek ne Hindustan ke do tukde kar diye, aur dusra ab Hindustan ko ek nahi hone de raha hai.

*Mahatma Gandhi ki hatya ke baad SARDAAR PATEL ne RSS par ban lagaya tha. Ye sab documents mei mauzood hai.
*Congress ki vichardhara achhi thi par pichhle dashko mei uska karyakaal bhi asantoshjanak raha.

  • Communist ab tak logo ke adhikaar ke liye lad rahe hain, aur sabke taane aur gaaliyan khaa rahe hain. Ye hi wo teen soch thi jo akhand Hindustan ko banaane ya todne mei shaamil thi. Ab faislaa aap par hai ki aap Samajwaad ke saath ho ya tathakathik Rashtrawaad ke....!!Untitled.jpg

Coin Marketplace

STEEM 0.20
TRX 0.19
JST 0.033
BTC 88985.87
ETH 3290.31
USDT 1.00
SBD 2.98