Few lines from Iqbal's Poetry 5 of 'em
[1]
Ishq Qatil Se Bhi Maqtool Se Hamdardi Bhi
Ye Bata Kis Se Muhabbat Ki Jaza Mangega
Sajda Khaliq Ko Bhi Iblees Se Yaarana Bhi
Hashar Main Kis Se Aqeedat Ka Sila Mangega
[2]
Nikal kar khankahon se ada kr rasam e Shabbiri
k Fikr e Khankahi hai fakat andohe Dilgiri
[3]
Majnu ne sheher choda tu sehra bhi chodh de,nazzarey ki hawas hai to laila bhi chodh de.
Waayiz kamaal e tark se milti hai yaan muraad,duniya jo chodh di hai to uqba bhi chodh de
[4]
Jalaal-e-aatish barq Wa sahab paida kar...
Ajal bhi kaap uthe too wo shabaab paida kar..
Too inquilab ki aamad Ka intezar na Kar...
Jo Ho sake to khud inquilab paida kar.. ..
[5]
Dasht Tho Dasht Hain Darya Bhi Na Chode Hamne
Bahr-e-Zulmaat Mein Dauda Diye Ghode Hamne
Hai, helo @meerab! Telah kami upvote.. ;)
Thanks @puncakbukit...!! :)