Kaun bata sakta hai yeh mulaqaat pehli yaan Aakhri hai.. Na jaane kitni baar mil chuka hoon tujhse aur kitni baar abhi milna baaki haisteemCreated with Sketch.

in #poetry6 years ago

Kaun bata sakta hai yeh mulaqaat pehli yaan Aakhri hai..
Na jaane kitni baar mil chuka hoon tujhse aur kitni baar abhi milna baaki hai...

Har daur mein hota hai koi kirdaar mere jaisa..
Na jaane kitne qisson me zikar hai mera aur kitni kahaniyon mein abhi likhna baaki hai...

Sadiyon se chal hoon ekk kaafile ke saath saath..
Na Jaane kin Manzilon ki talaash hai aur kahan abhi Pahunchna baaki hai...

Suna hai Sau raaste jaate hai usski jaanib ki taraf ...
mujhe ek bhi nai mil raha, lagata hai be-samajh kadmon ka abhi Bhatkna baaki hai...

Na thama hai, na hi thamega yeh ranjishon ka silsilaa 'Tasbeeh..
Na jaane kitni dafa toota hoon abhi kitna aur bikhrana baaki hai...

Khwabon me khawab dekh raha hai ek mitti ka bhut zameen pe..
Uske Khwabon ki ajal mein bas Palkon ka jhapkana baaki hai...

Wajood-e-adam ke dayaron se nikal toh chuki hai zaat meri..
Bas saanson ka rukna aur rooh ka bicharna baaki hai..

Uss roshni ki talaash mein jo phir raha hai dar-ba-dar...
Dekh Patangey ney Samait liya haunsla usme Jitnaa abhi baaki hai...

Kaun bata sakta hai yeh mulaqaat pehli yaan aakhri hai
Na jaane kitni baar mil chuka hoon tujhse aur kitni baar abhi milna baaki hai...”
― Jasz Gill

Source: https://www.goodreads.com/quotes/tag/urdu-poetry

Coin Marketplace

STEEM 0.20
TRX 0.26
JST 0.039
BTC 100331.97
ETH 3646.26
USDT 1.00
SBD 3.05