Airtel lekar aaya hai unlimited data plan.

in #life6 years ago (edited)

Bhaaiyo kaise ho aap sabhi log aasha karta hu aap sabhi log acche hi honge. Dosto India ki sabse badi company airtel ka new plan aaya hai jo hai kaafi damdaar agar aap airtel user hai to aap ke liye ek bahut hi acchi plan hai jisme aapko unlimited data wo bhi 90 din ki validity ke sath.


Image Source

Dosto airtel ka yah plan 1495 rupye ki hai is se aap 90 dino ke liye unlimited 4G data ka use kar sakte or is plan ke aap 4G mobile pe hi use kar sakte hai ab aapko data khatam hone ki tention nahi rahegi or na hi aapko boosterpack ka reacharge karana padega.

yah plan jio ko badi takkar dene wala yah offer filhal Delhi me hi launch kiya gaya hai kuch hi din me yah plan or bhi city me lauch kar diya jayega yah plan logo ko pasand aayegi iska anuman lagaya jaa raha hai.

Ab iske baad jio bhi shayad koi aaisi plan lekar aaye jis se airtel ko takkar de sake new plans to aate rahte rahte hai sabhi telecom company wale ek se badhkar ek plans launch karte hai jis se unke customer bhi khus ho jate hai or dusre telecom company wale users unki or akarshit hote hai.


Image Source

Abhi to sabse acche or saste plans launch karne ke mamle me jio sabse aage hai jio hamesha hi ek accha plan launch karta hai usi ko takkar dene ke liye other telecom company wale bhi new plan launch kar dete hai.

Abhi jio ki ek new plan launch hui hai jisme aapko 399 ya us se uper ki reacharge karane par aapko 100 rupye kam lagte hai 50 rupye apke voucher se kaat liye jate hai or 50 rupye ka cashback milta hai yah offer sirf 21th september tak hai. 

Sort:  

Sir 1495 rupye bahut bada amount hota hai ise har koi nahi le sakta.

You got a 4.76% upvote from @postpromoter courtesy of @akshaykumar12257!

Want to promote your posts too? Check out the Steem Bot Tracker website for more info. If you would like to support the development of @postpromoter and the bot tracker please vote for @yabapmatt for witness!

Coin Marketplace

STEEM 0.22
TRX 0.20
JST 0.034
BTC 98923.04
ETH 3381.66
USDT 1.00
SBD 3.09