Debt mutual fund me kare nivesh
Hello Dosto, Maine apne pichle post me investment plan ke baare me bataya tha aap ko. Equity mutual fund me invest karne ke baare me bataya tha agar aap ne meri wo post nahi padhi hai to fir ( Yaha kar sakte hai invest ) Yaha par click kar ke aap meri wo post padh sakte hai. Aaj main aap ko kuch aur nayi chij bataunga. To dosto chaliye shuru karte hai.
Image Source ezwealth.in
Debt mutual fund bhi hai sahi vikalp.
Aap ko maine equaity mutual fund ke baare me to bataya tha ab main aap ko debt mutual fund ke baare me batata hoon. Jo risk nahi le sakte hai aur risk lene se darte hai wo debt mutual fund me invest kar sakte hai. Debt mutual fund bank deposit ki tulna me achha return deta hai aur post office ki tulna me bhi yaha se achha return mil jaata hai. Iss me risk bhi nahi hota hai.
Aaj kal market me kayi tarah ke debt mutual fund mil jaayenge aap ko. Aap kisi me bhi invest kar sakte hai aur mere hisaab se long term mutual fund sahi rahega. Long term me jyada benefit hota hai. Reports ke mutabit debt mutual fund ne pichle 10 saal me 8% se bhi jyada ka return diya hai.
Chote investment ke liye SIP sahi hai.
Dosto agar aap ke pass paisa nahi hai bada investment karne ke liye to aap SIP me account khulwaa le. Iss me ye benefit hai ki aap har month 500 rupya bhi deposit kar sakte hai. bund bund se hi talaab banta hai ek din yahi choti amount badi ban jaayegi jo musibat me aap ke kaam aayegi. 500 rupya har mahina daalna koi badi baat nahi hai.
You got a 4.12% upvote from @postpromoter courtesy of @mahtabansari370!
Want to promote your posts too? Check out the Steem Bot Tracker website for more info. If you would like to support the development of @postpromoter and the bot tracker please vote for @yabapmatt for witness!