what is steemit | Create Steemit Account - How to Contact Help Steemit Tutorial

in #bitcoin6 years ago (edited)

what is steemit

to dosto kafi sare log hai vo steemit join kar rahe hai or karna chahte hai to unke dout aj ham is blog se clear karenge

to dosto ajka blog simple hai ke steemit pe sign up kese karna hai or kya kya tarike hai jisme ham steemit pe sign up karsakte hai or apko agar koi problem aa rahi hai account create karne me to ap kaha se help le sakte hai to aj ham is blog me sab cover karenge

what is steemit.jpg

to dosto suru karte hai to ap jese hi steemit pe account create karenge to vo pure steemit ecosystem me chala jayega apne steemit pe sign kar liya to vo d-tube pe bhi vahu chalega d-sound pe bhi vahi chalega or d-lite pe bhi vahi chalega to dosto apka ak hi account pure steemit platform pe chalega

sign up kese karna hai to dosto sign up ke do tarike hai ak to ap free account bana sakte hai apka koi bhi paisa nahi lagega par problem yaha pr a hai ki apka account create hone me 1 se 2 hapto ka time lag sakta hai agar ap whait kar sakte hai to ap whait karlije agar ap jal se jal account create karna chahte hai to ap ke pass jo dusari option hai ap pay kar ke sign up kar sakte hai

jese hi ap us pr click karenge to ap k pass 3 option aayenge

1 - Blocktrades
2 - Anonsteem
3 - SteemConnect

dosto paid account ka fayda a hai ki apka account anonsteem create hota hai yani ki apko yaha pr email or mobile number dene ki jarurat nahi hai

agar ap free account banayenge to ap ko vaha pr mobile number or email dena padega

dosto ap Blocktrades and Anonsteem use karke account bana sakte hai par me apko recomnded karunga k ap Blocktrades se account create kre kyu ki Blocktrades apko yaha pr flexibility deta hai ki ap jab account create karenge to ap kitni steem load karna chahte hai vo option ap ke pass hai

Step - 1


sabse pahle ap ko account name choose karna hai

Step - 2


second number me apko ak password dikhega usko apko save karke rakhna hai

uske bad apko manually password fill karna padega

Step - 3

tisara step hai vaha pr ap apne password ka backup le sakte hai usko download kar sakte hai

Step - 4

chodha or akhri step hai vaha pr apko payment krna hai jo payment ammount hai vo change hoti reti hai jo ke real time hai or ap payment bitcoin se or bahut sari currancy se bhi karsakte hai me apko recomnded karunga ke jab ap payment karte hai to ap kam se kam 4 steem buy kijia kyu ki isse apki steem power or voting power badhegi to spko usse fayda hoga

or akhir me apko GET DEPOSITE pe click karna hai or apke pass ak address ayega to apko us address pe btc send karne padege jese hi apki ae process khatam hogi to apka steemit account create ho jayega to usi user name or password se ap log in karsakte hai to is tara se apka paid account ban jayenga free account ke liye apko 1 se 2 hapto tak apko whait karna padega agar apko account create karne me koi bhi problem ati hai to ap STEEM.CHAT pe jake chat karsakte hai to apko vaha se help mil jayega apko vaha jake sirf #help likhna hai to vaha pe help channel khul jayega to ap vaha pr click karenge to vo khul jayega to ap vaha pr apka jo bhi problem hai unke sath chat kar sakte hai to dosto a tha mera aj ka steem ka help video to ab ham ak aese hi video ke sath fir milte hai tab tak jai hind vande matram.

Coin Marketplace

STEEM 0.26
TRX 0.20
JST 0.038
BTC 95102.79
ETH 3574.19
USDT 1.00
SBD 3.81