Aqal kehti he ki ye deewangi he.
Assalamu alaikum wa Rahmatullah.
Aqal kehti he ki ye deewangi he.
Hajj ki puri ibadat me yhi falsfa nazar aata he.
Ab dekhiye ki ek pathhr Mina me khara he, or lakhon afrad is pathhar ko kankriya mar rhe he, koi shakhs agr ye puchhe ki is ka maqsad kya he?
Ye to deewangi he ki ek patthar pr kankr barsaye ja rhe he, is patthar ne kya qusoor kya he?
Lekin kyunki hm ne keh diya ki ye kam kro , Is ke baad is me hikmat , maslehat or aqli daleel talash krne ka mqam nhi he, bs is pr aml hi me ajar o sawab he.
Is deewangi hi me lutf bhi he or is me Allah taala ki raza bhi he.
Hajj ki ibadat me qadam qadam pr ye sikhaya ja raha he ki tum ne apni aqal ke sanche me jo cheezen bitha rkhi he, or seene me jo but basa rkhe he, un ko toro.
Or is bat ka idrak paida kro ki jo kuch bhi he, vo hmare hukm ki itteba me he.
Shukriya..